Ae Zindagi!!

Kya rukh hai tumhara ae zindagi?
Kis kis shakl mein logon ko milti ho
Kyu tm ek si nahin rehti
Kyu pal pal apni chal badalti ho?

Kis binah par logon ko chunti ho ae zindagi?
Kyu ksi ke liye khushnuma or ksi ko nagawar guzarti ho
Kya apni hi marzi se insano mein ghulti ho
Jo ek ko phool si mulayam or dusre k liye katon ki bharmar hoti ho?



Kis surat ke log tmko ache lagte hain or kyu bakiyon ko bura dekhti ho?
Kyu ksi ko arsh pe pahucha deti or ksi ko farsh pe patakhti ho
Kya bura nahin lagta tumko un logon kay liye
Jinke hisse ki takhdir tm dusro mein bat deti ho?

Kya nizam hai tumhara ae zindagi?
Kyu kisi ko behtar or kisi ko badtar karti jati ho
Kis qayde kanoon se chalti ho tum
Jo ek ko nawazti or dusre ko tarsati hi jati ho?



Kya koi farq dikhta hai tmko hum bando mein?
Jo kisi se khush ho kar dusro se beinteha ruth jati ho
Ya koi gila shikwa rakhti ho humse
Jo ek ko sukun ki nind sula kar dusre ko rat bhar jagati ho?

Kabhi unse bhi mukhatib ho kar dekho ae zindagi!
Jo aj bhi tumhari raah dekh rahe hain
Kbhi unke dar par bhi khushiyan barsao
Jo tumhare har zulm ki mar seh rahe hain.



Tumhari daulato or beshumar nematon ka
Wo har har shaqs haqdar hai
 Jo tumhari tarafdariyon se aajis ho kar bhi
Tumhare rukh modne ka talabgar hai.

Comments

Popular Posts